Tuesday, August 30, 2011

Chup Hai

In do labzo main ek aashiq ki kahani bata raha hoon......

Aankhein jo bin bole hi haal-e-dil baiyaan kar deti thi,
Aaj woh tere ashqko main chup hai....

Khwaab jinka aagaaz aur anzaam teri marzi thi,
Aaj woh tere saath k bina chup hai.....

Har din chup hai,har shaam chup hai,
teri yaad main haath ka jaam chup hai......

Kal tak jin labo par din raat tera naam tha,
Aaj woh lab sab keh kar bhi chup hai......

Saanson mein ghul kar teri jo yaad aati hai,
dil k dar par jo teri aahatein hoti hai,
Aaj sab meri bebasi par chup hai.....

Tu bhi chup hai,main bhi chup hoon,
Is kasmaksh main waqt bhi chup hai,
Socha maang loon dua main,
Par aaj to khuda bhi chup hai......

Kehte hai log deewana hai,aashiq hai,
is sachai par aaj mere alfaaz bhi chup hai....

Tere laabon ki mushkurahat,mere dil ki betabiyaan,
Mere jazbaat sab,bechain raat ki karwat main chup hai....

Tanhayi main dil chup hai,
Is khamoshi main meri khushi chup hai,
Tere ishq main meri zindagi chup hai......

6 comments:

  1. apki is kavita ko padh kar hum chup hai ..(shabd nahi mil rahe) ... bahut dard chupa hai

    ReplyDelete
  2. feeling same as yogesh.....mein bhi chup hoon

    ReplyDelete
  3. chup chap aapne na jaane kya keh diya..
    har dard ke tarj per ashkon ko rakh diya..
    zindagi to hamari tukdo me kat rahi thi...
    hal-E-Dil bayan karke lafzon ko tham liya..

    ReplyDelete